Naat e Pak
Utha kar nazar ham jidhar dekhte hai
Huzoor aapko jalwa gar dekhte hai
Tera husn rashke qamar dekhte hai
tera jalwa ahle nazar dekhte
hai
Mili hai ziya in ko
noore nabi se
jo ham noore shamso qamar dekhte hai
Waseela ho jisme shahe dosara ka
duayein wo ham ba asar dekhte hai
Hai bas zindagi inki taquedeer inki
jo taiba ki sham o sahar dekhte hai
Hai bughz e Nabi dil me kalma zaba par
ae Najdee tera ham hunar dekhte hai
Khuda inki nazro ko de noore iemaa
jo Khairul bashar ko bashar dekhte hai
Jo hijre Nabi main nikalte hai aasoo
to daman me lalo guhar dekhte hai
Gham e ishaque sarkar hai jisme AFSAR
wohi zindagi motabar
dekhte hai
(Afsar
Razvi Bareilvi)
Naat e Paak
(dar shane sarware ka'enaat sal'lallahu alaihi wasallam)
Haque Ta'aala ke tum Razdaa Mustafa
Tum pe har raz makhfi aiyaa Mustafa
Aap ke hi Tasadduque main paida hue
jinno insaan kono makan Mustafa
Aap jaisa bashar aap jaisa habeeb
doosra dosara main kaha Mustafa
Saaf ailan Qur'aan ne Farma diya
deen o Eiman ki rooh wa jaan Mustafa
Maal o zar hoz e
kosar ho baghe jina
Quasime nemate do jahan Mustafa
Kya duboenge toofano tughyan use
jis safeene ke tum pasbaa Mustafa
Aapke Ru'e anwar se tabinda hain
mahro maah aur ye
kah'kashan Mustafa
Har kalam aapka hai kalam e Khuda
har sukhan aapka gul'fashan Mustafa
Talibe lutfo ikramo
faizan hai
aapka AFSAR e khasta jaan Mustafa
(Afsar
Razvi Bareilvi)
Naate pake darshaneShahinshahe do jahan
Zikre meelade shahe khairyl wara hone ko hai
Yani tajedare anbiya kahne ko hai
Koi zarra paye
maale mustafa hone ko hai
qismate khake haram rashke sama hone ko hai
Tere paye naz par hai har bulandi ki kulaa
Ouje aalam tere qadmo par fida hone ko hai
Muzdaye meraaj laaye hai janaabe jibra’eil
Rif’ate arshe baree’n ab zere paa hone ko hai
Lahne dawoodi bhi
khaye jis fasahat ki qasam
Jalwa aaraye jahan wo khush nawa hone ko hai
Husne yusuf jis malahat par kare jaan ko nisar
Rooe geeti par wo husne dil kusha hone ko hai
Toot jayengi masaieb ki abhi sab bediyan
Dahne mujrim se ada harfe nida hone ko hai
Aagya hoon rota dhota unki rahmat ke qareeb
Jald hi irshad ab inni laha hone ko hai
Kalame haque hai habeebe khuda kalam tira
Payame haque hai rasoole khuda payam tira
Wo jiske peene se sattar sahaba sair hue
Khuda hi jane tha wo kaisa sheere jam tira
Zamane bhar ke faseeh o baleegh moonh dekhein
Wo dil pazeer hai ummi laqab kalam tira
Yahi sabab to nahi in’iqade mah’shar ka
Ke jalwa dekh le har ek khas o aam tira
Ana laha ki sada goonji jab ke mahshar me
To aasi jhoom uthe sun’ke izne aam tira
Farishte qabr me poonchein jo deeno eiman ko
Zabane afsar e razvi se nikle naam tira
(Afsar razvi
bareilvi)
Nate Pake Mustafa(s.a.w)
Zikre meelade shahe khairyl wara hone ko hai
Yani tajedare anbiya kahne ko hai
Koi zarra paye
maale mustafa hone ko hai
qismate khake haram rashke sama hone ko hai
Tere paye naz par hai har bulandi ki kulaa
Ouje aalam tere qadmo par fida hone ko hai
Muzdaye meraaj laaye hai janaabe jibra’eil
Rif’ate arshe baree’n ab zere paa hone ko hai
Lahne dawoodi bhi
khaye jis fasahat ki qasam
Jalwa aaraye jahan wo khush nawa hone ko hai
Husne yusuf jis malahat par kare jaan ko nisar
Rooe geeti par wo husne dil kusha hone ko hai
Toot jayengi masaieb ki abhi sab bediyan
Dahne mujrim se ada harfe nida hone ko hai
Aagya hoon rota dhota unki rahmat ke qareeb
Jald hi irshad ab inni laha hone ko hai
Gardane shabbir ke har qatra’ye khoo ne kaha
Ab hayate jawida ki ibtida hone ko hai
Saquiye kosar ke hatho se ghulame ghos ko
Kosaro tasneem ka saghar ata hone ko hai
Larza bar andam ho jayega qasre najdeeyat
Kiyonke zikre Ghouso
khuaaja ow raza hone ko hai
Hain shafaat ko teri afsar shafiul muznabeen
Iski kuch parwah nahi mahshar bapa hone ko hai
(Afsar razvi
bareilvi)
Naate Pake Rasool(s.a.w)
Tera noor jab aashakara hua hai
To taazeem ko ka’baye rab jhuka hai
Kalam e khuda se pata ye chala hai
Wo haque se phira hai jo tum se phira
Maseeho khaleel o najee o safi ne
Teri aamad aamad ka muzda diya hai
Shafeeque aap jaisa habeeb aap jaisa
Nahi dosara mein koi doosra hai
Bhawar me aghisni pukara jo maine
Talatum ne khud hi kanara diya hai
Baroze qayamat nahi koi yawar
Tumhare labo par hi inni laha hai
Nabi aur bhi aaye dunya mein laakhon
Muqame dana sirf tumko mila hai
Bareilly se Marhara Baghdad pahoonchu
Ke ye rasta khuld ka, rasta hai
Ye Ghoso Raza aur Khuaaja o Nori
Mere paas
bakhshish ka ik sil’sila hai
Wo mukhtar hai dono aalam ke afsar
Jise jo mila unke dar se mila hai
(afsar razvi bareilvi)
urdubhasha.blogspot.com/nat
No comments:
Post a Comment