Naat




                                                                   Naat e Pak

Utha kar nazar ham jidhar dekhte hai
Huzoor aapko jalwa gar dekhte hai

Tera husn rashke qamar dekhte hai
tera jalwa  ahle   nazar   dekhte  hai

Mili  hai  ziya    in ko    noore    nabi     se
jo ham noore shamso qamar dekhte hai

Waseela ho jisme shahe dosara ka
duayein wo ham ba asar dekhte hai

Hai bas zindagi inki  taquedeer   inki
jo taiba ki sham o sahar dekhte hai

Hai bughz e Nabi dil me kalma zaba par
ae Najdee tera ham hunar   dekhte   hai

Khuda inki nazro ko  de   noore   iemaa
jo Khairul bashar ko bashar dekhte hai

 Jo hijre Nabi main nikalte hai aasoo
 to daman me lalo guhar dekhte hai                                                 

 Gham e ishaque sarkar hai jisme AFSAR
 wohi    zindagi    motabar    dekhte   hai

                                                          (Afsar Razvi Bareilvi)



                               Naat e Paak
 (dar shane sarware ka'enaat sal'lallahu alaihi wasallam)

Haque Ta'aala ke tum Razdaa Mustafa
Tum pe har raz makhfi  aiyaa  Mustafa

Aap ke hi Tasadduque main paida hue
jinno   insaan kono   makan   Mustafa

Aap jaisa bashar aap jaisa habeeb
doosra dosara main kaha Mustafa

Saaf ailan  Qur'aan  ne  Farma  diya
deen o Eiman ki rooh wa jaan Mustafa

Maal o  zar hoz e kosar ho baghe jina
Quasime nemate  do jahan   Mustafa

 Kya duboenge toofano tughyan use
 jis safeene ke tum pasbaa Mustafa

Aapke  Ru'e anwar   se   tabinda   hain
mahro maah aur  ye kah'kashan Mustafa

 Har kalam aapka hai kalam e Khuda
 har sukhan aapka gul'fashan  Mustafa

 Talibe     lutfo   ikramo    faizan  hai
aapka AFSAR e khasta jaan Mustafa

                              (Afsar Razvi Bareilvi)





Naate pake darshaneShahinshahe do jahan
Zikre meelade shahe khairyl wara hone ko hai
Yani tajedare anbiya kahne ko hai

Koi  zarra paye maale mustafa hone ko hai
qismate khake haram rashke sama hone ko hai

Tere paye naz par hai har bulandi ki kulaa
Ouje aalam tere qadmo par fida hone ko hai

Muzdaye meraaj laaye hai janaabe jibra’eil
Rif’ate arshe baree’n ab zere paa hone ko hai

Lahne dawoodi  bhi khaye jis fasahat ki qasam
Jalwa aaraye jahan wo khush nawa hone ko hai

Husne yusuf jis malahat par kare jaan ko nisar
Rooe geeti par wo husne dil kusha hone ko hai

Toot jayengi masaieb ki abhi sab bediyan
Dahne mujrim se ada harfe nida hone ko hai

Aagya hoon rota dhota unki rahmat ke qareeb

Jald hi irshad ab inni laha hone ko hai

Naat Darshane Sarware kaayenat(s.a.w)
Kalame haque hai habeebe khuda kalam tira
Payame haque hai rasoole khuda payam tira

Wo jiske peene se sattar sahaba sair hue
Khuda hi jane tha wo kaisa sheere jam tira

Zamane bhar ke faseeh o baleegh moonh dekhein
Wo dil pazeer hai ummi laqab kalam tira

Yahi sabab to nahi in’iqade mah’shar ka
Ke jalwa dekh le har ek khas o aam tira


Ana laha ki sada goonji jab ke mahshar me
To aasi jhoom uthe sun’ke izne aam tira

Farishte qabr me poonchein jo deeno eiman ko
Zabane afsar e razvi se nikle naam tira
(Afsar razvi bareilvi)




                Nate Pake Mustafa(s.a.w)

Zikre meelade shahe khairyl wara hone ko hai
Yani tajedare anbiya kahne ko hai

Koi  zarra paye maale mustafa hone ko hai
qismate khake haram rashke sama hone ko hai

Tere paye naz par hai har bulandi ki kulaa
Ouje aalam tere qadmo par fida hone ko hai

Muzdaye meraaj laaye hai janaabe jibra’eil
Rif’ate arshe baree’n ab zere paa hone ko hai

Lahne dawoodi  bhi khaye jis fasahat ki qasam
Jalwa aaraye jahan wo khush nawa hone ko hai

Husne yusuf jis malahat par kare jaan ko nisar
Rooe geeti par wo husne dil kusha hone ko hai

Toot jayengi masaieb ki abhi sab bediyan
Dahne mujrim se ada harfe nida hone ko hai

Aagya hoon rota dhota unki rahmat ke qareeb
Jald hi irshad ab inni laha hone ko hai
Gardane shabbir ke har qatra’ye khoo ne kaha
Ab hayate jawida ki ibtida hone ko hai

Saquiye kosar ke hatho se ghulame ghos ko
Kosaro tasneem ka saghar ata hone ko hai

Larza bar andam ho jayega qasre najdeeyat
Kiyonke zikre Ghouso  khuaaja ow raza hone ko hai

Hain shafaat ko teri afsar shafiul muznabeen
Iski kuch parwah nahi mahshar bapa hone ko hai

(Afsar razvi bareilvi)


 Naate Pake Rasool(s.a.w)
Tera noor jab aashakara hua hai
To taazeem ko ka’baye rab jhuka hai

Kalam e khuda se pata ye chala hai
Wo haque se phira hai jo tum se phira

Maseeho khaleel o najee o safi ne
Teri aamad aamad ka muzda diya hai

Shafeeque aap jaisa habeeb aap jaisa
Nahi dosara mein koi doosra hai

Bhawar me aghisni pukara jo maine
Talatum ne khud hi kanara diya hai

Baroze qayamat nahi koi yawar
Tumhare labo par hi inni laha hai

Nabi aur bhi aaye dunya mein laakhon
Muqame dana sirf tumko mila hai

Bareilly se Marhara Baghdad pahoonchu
Ke ye rasta khuld ka, rasta hai

Ye Ghoso Raza aur Khuaaja o Nori
 Mere paas bakhshish ka ik sil’sila hai

Wo mukhtar hai dono aalam ke afsar
Jise jo mila unke dar se mila hai
                                               (afsar razvi bareilvi)



urdubhasha.blogspot.com/nat

No comments:

Post a Comment